Mumbai ya kuch ke liye aaj bhi wahi Bambai....Ye wo seher jahan suraj dhalte hi ugne (nikalne) ki soch mein doob jaata aur roz shaam se hi savere ki tayyari har kaam se lautne wale auto, car, bike, bus, local train se hi shuru ho jaati...Haath mein smart phone aur ghar par iss tez raftaar se daudti zindagi mein ek ghar jo ghar sa nhi balki bas rehne ki ek jagah hai Aur kuch aise jo ghar banana chahte hain wo to jhopde ko bhi ashiyane ka darza dete hain....
Wo bheedh mein daudti zindagi ka safar....Traffic mein gf ya biwi ka ek muskaan ke saath kandhe pe haath rakh wo saath hone ke bharose ka ehsaas..Ek sukoon sa milta...Kyunki Mumbai Ka traffic ek jeevan ke safar se kam nhi jo har signal sa theraav deta par thamta nhi...Wo aagey jaane ki chah sabmein rehti...Traffic mein insaan chalta Dheere hai par chalta hai... bambai ki seekh se hi seekhte-seekhate chalta yahan pe sabka jeevan...
Ye kahani har uss tez raftaar wale seher ki khaani jahan log seher ki raftaar pakadne mein zindagi se door hote ja rahe.....