Thursday, December 28, 2017

Samay Wo Bhi Tha Samay Aaj Bhi Hai....

Samay wo bhi tha Samay aaj bhi hai....

Jeevan ke panne palat raha hoon aur har raat kal ke panne mein kuch achhca likhne ko hoga soch ke so jaata hoon...

Jeevan ke bahut se panne khaali chale gaye shayad wahan kuch aise lamhe the ya kahiye kuch aise kisse the jo likhe na gaye....

Arre janab kuch aisa waisa na tha.. .haan par jo tha thoda ajeeb tha shayad zindagi mod le rahi thi...

Benares se Mumbai ka safar...Mumbai se Delhi..Delhi se Benares aur Benares se Bangalore ya kahiye 12th se B.com-C.A.-Plays/theatre/Movie-Ias ki tayyari-acchi private naukri ki khoj- private naukri aur phir khud ka business-- Entrepreneur!!

Ye jo do tarfa trikon sa safar zindagi ne dikhaya hai ye koi aam panne nahi the aaj inhi panno ki wajah se maine bahut kuch seekha ya mehsoos kiya hai ya huzoor kahiye ki Jeevan ke har tarah ke kisse the iss ab tak ki zindagi ke kahani mein...Aur haan kahani khatam nhi hui....abhi to kahani baaki hai janaab...kyunki asal kisse to zindagi ne ab likhne shuru kiye hain....


Har subah ek kissa apni naye kirdaaro aur kuch peechle kirdaaron ke saath khada rehta ki meri aankhein khulengi aur zindagi ke iss rangmanch pe kirdaaron ka khela shuru ho jaayega...

Khair ye to meri kahani thi par ek baat kahunga inmein se kuch kisse sirf mere kisse nahi agar jeevan jeeya hai aapne to aap bhi kahin na kahin apne jeevan ke taar jod sakte....

Ye zindagi hai hi aisi sab ek gutthi hai suljhao aur jeetey jao...

Aur bas...
Kisse bante gaye main likhta gaya aur aaj ka bhi ek bhi panna   khatam hone wala hai aur main sab apne dil mein..dimaag mein likh ke/basa ke sone ko agrasar hoon....


Kal uss sunhare panne ke intezaar mein ki ek din main wo panna likhunga jo mere jeevan ka maksad hai...par haan ho sakta hai uss din bhi shayad wo panna khaali reh jayega....par jaisa bhi hogaa bahut khoobsurat hoga...

Jeevan hai sahab jeetna jeeyenge utne rang saamne aayenge aur asli jeevan jeene ka yahi to mazaa hai.....

No comments:

Post a Comment